Tum khud kisi ke nahi ho,
ho to sirf kudrat ka hissa.
Isliye kudrat ko tum pe hakk hai
Khud mein se kudrat ki chahton ko guzarne do
Khuli hawa mien dil bharke saans lo
Tum mein jo kuch hota hai
wo sabh kudrat ki masti hai
Is masti ko bhi nihara karo,
kabhi kudrat ko bhi padho
Kabh kabhi niklo bahar is deewaron ke bane huye ghar mein se,
Apne haath khulke failao
Uper aur uper, khule asamaan mein,
jahan badal bhi chooke, tumse milke masti mehsoos karen
Apni rooh ko khushboo ki tarah khulke failne do aaspaas.
Phir ooncha, aur ooncha udho
poora aasmaan tumhare liye khula hai
(LOVE IS AN ENERGY, NOT A HUMAN BEING...This energy is present in all human beings)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment